Namashkar mere dosto asha karti hu apka din aaj acha hi beeta hoga. khair aaj ghar aate hue ek alag hi experience dekhne ko mila..ek ladka aur ladki dikhe metro station par.
Ladki shayad khafa thi ladke se,ladka mana rha tha use.public dekh rhi thi unhe islie ladki ne avoid krna hi sahi samjha use.ladka fir b laga rha bola 'nahi jaunga mai, jab tak keh nahi deti nahi hu khafa..' kitni achi lagti hai na aisi nok jhok ?ruthne manane ke is silsile me hi to mazaa hai. yeh yaadein hi hoti hain jo samay ke sath reh jati hain,baki batein to insaan bhoolta chala jata hai.
Har rishte me nok jhok hoti hai...bhai ka wo behen ko satana,bacho ka mata pita ko apne piche daudana,girlfriend-boyfriend ki ladaai-kitne pyaare lagte hai na rishtoin me ye nok jhok?par kyo samay k sath yahi nok jhok takraar me badal jate hain?kyo bhai- behen ki nok jhok samay k sath galat roop le lete hain?aaj to samay aisa aa gya hai..jab bhai -behen ka rishta b shayad naam ka reh gya hai.kyo mata-pita ke sath wo nok jhok...nafrat me tabdeel ho jate hain? samay aane par hum unhi mata-pita ko vridha ashram me bhej dete hain?kyo unhi maa-pita ko til til kar marte hain? boyfriend-girlfriend ki wo pyaar bhari nok jhok,samay ke sath kyo ek dusre ki jaan lene par majboor kar dete hain?kya ye rishtey waqt ke sath humare lie ghutan ban jate hain?kya apko nahi lagta ki nok jhok se shuru hui is rishtey ko hum waqt ke sath ek alag hi mukamp par leke chale jate hain?
kayi logo se puchne par pata chala ki shayad hum kahi na kahi ek dusre ki expectations poori nahi kar pate.par kya rishtey sirf expectations par tike hain?agar aisa hi hai to mera aap logo se yeh sawaal hai ki...humare mata-pita ka kya- jo kayi saalo se bina kisi expectation ke apna rishta nibha rhe hain?aaj ke time par...rishta banana jitna aasan ho gya hai usse kayi zyada aasan ho gya hain usse todna...kyoki humari expectations beech me aa gyi hain?kya sach me aisa hai?hume sochna chaie