Friday, 25 December 2015

Dosti.. Yaariyan

Humne aksar logo ko Sippy sahab ki movie' sholay' ka gana 'yeh dosti hum nahi todenge ...todenge gum magar tera sath na chodenge'ye gana gungunate hue suna hain,aise hi na jane dosti par kitne gaane bane hain,par kya apko aisa nahi lagta dosti ke asal mayne inhi gaano tak seemit reh gye hain?
Kisi se dosti karne se pehle hum uska auda ,paisa etc nahi dekhte ya poochte,dosti to bas ho jati hain,dosti me koi sharte nahi hoti bas bharosa hota hain .Yeh  dil ka rishta hain jo jud hi jata hain. Bas, fark yeh hai ki kuch log yeh rishta dil se nibha jatein hain aur kuch apna matlab nikalne ke lie ise dosti ka naam de jate hain.

Khair isi beech kuch aise log hain jinke lie dosti tabhi hain agar hum unka kaam kare ya unke mutabik chale..yaad rakhie jab log apko kehte hain aap badal gye hain,iska matlab yeh hain ki aap zindagi ko apne hisab se jeene lage hain. Kisi bhi rishtey me compromises allowed hain sacrifices nahi aur dosti me to bilkul bhi nahi aur zindagi ke is safar par chalte chalte hum kuch aise logo se bhi mil jate hain jo sari zindagi ka sath nibhane jate hain aur shayad kahi na kahi ek ache sathi ki talaash karte karte hum inhe hi nazarandaaz kar jate hain.Humari sabse badi khami hi yahi hain ki jo log ya cheezein hume pyar se mil jati hain hum unki kadar nahi karte aur jo log ya cheezein humari kismat me nahi hai unke peeche bhagte rehte hain.


Kisi ke peechein bhagna band kijie agar koi apke lie bana hain to apko zarur milega. Agar apko wo mil jata hain to apki kismat, warna muskuratein hue yeh soch lijie wo apke lie bana hi nahi hain and move on.Live life to the fullest..kyoki hum jin cheezo se bhagte hain unse humara aur zyada samna hota hain.Islie mere dosto agli baar jab aap koi dost banae ya chune to soch samaj ke chune,apne hisab se chune par kuch logo ko pane k lie unhe na bhoole jinhe apki takleef se takleef hoti hain aur jinke lie apki ek smile...kafi hai to live.

dosti karna aasan hain nibhana mushkil..dost bante bante saal lag jatein hai.aur dosti.tutne me kuch minute

No comments:

Post a Comment

Significance of the Basics